Ghazal

[Ghazal][bleft]

Sher On Topics

[Sher On Topics][bsummary]

Women Poets

[Women Poets][twocolumns]

Parveen Shakir-Kaanp Uthti Hun Main Ye Soch Ke

Kaanp Uthti Hun Main Ye Soch Ke
अक़्स-ए-ख़ुशबू हूँ, बिखरने से न रोके कोई
और बिखर जाऊँ तो, मुझ को न समेटे कोई

काँप उठती हूँ मैं सोच कर तन्हाई में
मेरे चेहरे पर तेरा नाम न पढ़ ले कोई

जिस तरह ख़्वाब हो गए मेरे रेज़ा-रेज़ा
इस तरह से, कभी टूट कर, बिखरे कोई

अब तो इस राह से वो शख़्स गुज़रता भी नहीं
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई

कोई आहट, कोई आवाज़, कोई छाप नहीं
दिल की गलियाँ बड़ी सुनसान है आए कोई 
काँप-उठती-हूँ-मैं-सोच-कर-तन्हाई-में.
Kaanp Uthti Hun Main Ye Soch Ke - Parveen Shakir
Aks-e khushbu Hun Bikharne Se Na Roke Koi,
Aur Bikhar Jaaun Toh Mujh Ko Na Samete Koi.

Kaanp Uthti Hun Main Ye Soch Ke Tanhai Mein,
Mere Chehre Pe Tera Naam Na Padh Le Koi.
Jis Tarah Mere Khwaab Ho Gaye Raiza Raiza,
Uss Tarah Se Na Toot Ke Bikhre Koi.

Main Toh Uss Din Se Hiraasaan Hun Ki Jab Hukum Mile,
khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi.
Ab Toh Iss Raah Se Woh Shakhs Guzrta Bhi Nahi,
ab kis umeed pe darwaaze se jhaanke koi.

Koi Aahat, koi Aawaaz..Koi Chaap Nahi,
Dil Ki Galiyan Badi Sunsaan Hain Aaye Koi.  
!


world. Read Gulzar's top Best Urdu Shayari,Hindi Poems.Gulzar poetry on Life,

कोई टिप्पणी नहीं: